Pages

Thursday, January 15, 2015

Lose Weight While You Watch Movie

(Ab Film Dekh Kar Apna Wazan Kam Karen)



Ab motay (Fat) logon k liye dubla hona kuch mushkil nahi raha, Scientist din-ba-din motapay se chutkara hasil karne k liye new researchs kar rahe hain, aur ek aesi hi reserch k nateejay main ye bat samne aai hai kay ab apko motapay se jaan chhurrany k liye alag alag taraha ki exercise aur medicine khane ki zarorat nahi hai.

British University ki ek latest research kay mutabiq Khofnak (horror) movies dekhne se ap kay jism ki charbi pighalti hai. Aese log jo 1 and 2 hour ki duration wali horror movies dekhte hain un k jism se 113 calories burn ho jati hain jo taqreeban half hour ki walk k brabar hai, kuch movies to motay (Fat) afrad k liye ziada hi mozoon hain jin main srefehrist Hollywood ki movie "The Shining" hai jo 184 calories tak burn kar deti hai.

Tu ab mera ye apko mashwara hai k agar ap waqai hi motapay se pareshan hain aur apna weight lose krna chate hain tu Exercise k sath sath horror movies dekhne ki bhi adat dalen ta kay ap jald az jald motay pan se jaan chhurra saken aur apna weight apni requirement tak la saken

(if any query pls comment)

No comments:

Post a Comment